Aaj kahin bhi atankwadi hamla hota hai to isara sabse pehle bangladesh ki or jata hai,Aur yeh sacchai bhi hai.Simawarti chetro me ye samasya aur vidwansak hai.Aaj desh me agar jali note ki taskari hota hai,mahila taskari aur bharat se pasudhan taskari hoti hai to sirf bangladesh ko.Aaj simawarti jilon me jin basti me ye log saranarthi ban kar rehte hai waha se nasili padarth aur hatiyar milna aam baat hai.Jaha unke bacche parhne ko jate hai waha sirf bharat virodhi siksha di jati hai,dharm ke naam par bharat ke andar bharat virodhi nara kya sarmnak nahi hai?Assam,paschim bangal,north east aur bihar,jharkhand isse sabse jyada prabhawit hai.lekin assam ke yuvaon ne bangladeshi ghuspaith ke viroodh jo andolan kiya woh sahi mayne me yuva bharat ka pehchan hai,assam me AKHIL BHARTIYA VIDYARTHI PARISAD[ABVP] aur ALL ASSAM STUDENTS UNION[AASU] mil kar sanyukt abhiyan chalaya aur bangladeshi ghuspaith ko muh tod chunauti diya.Jaha tak jharkhand ki baat hai naxalwad ke saath bangladeshi ghuspaith ek bahut bara samasya hai,PAKUR,SAHEBGANJ,GOODA me 33% jansankhya bangladeshi ho gaye hai jis karan rajnitik,bhaugolik aur samajik santulan bigar gaya hai jiska parinam hai in jilo me asamajik gatiwidhi ka barhotri hona.in jilo ke vidhan sabha aur lok sabha me yahi log mahatwapurna bhumika nibha rahe hai aur waha ke bhartiya samaj alag thalag par gayi hai.
Vote bank ki rajniti ke liye ye mudda rajnitik ho gayi hai aur bharat ke rajneta unke vote ke liye har wakt bharat ma ko bechne ka kaam kar rahe hai.iska parinam hai bangladeshi nagrik BADRUDDIN AJMAL ka loksabha chunaw jitna aur uske party ka ASSAM vidhan sabha me 2 darjan log chun ke jana.
Kisi bhi desh me ghuspaith,saranarthi ko nagrikta dene ki baat nahi hoti lekin bharat ke rajneta ne samay samay par aisa rastra virodhi kaam kiya,jisse sara desh saramsar hua.bharat ke pradhanmantri ne sarvajanik bayan diya ki bharat ke sabhi sansadhano par pehla hak alpsankhyako ka hai,kya ye bharat ma ko saramsar karna nahi hua
Lekin bharat ke yuva hi is chunautio ka samadhan kar sakte hai,kyunki yuvasakti hi rastra sakti hai.
No comments:
Post a Comment